esi bhohat sari stories hai jo abhi bhi unkahi our unsuni hai our wo hamesha ke liye unkahi our unsuni hi rahegi.....our in unkahi our unsuni stories me na jane kitni confusion our dard se bhari zindgiyaan kahi ghumnam hokar hamesha ke liye khatm ho jati hai.....๐๐
kuch logo ko ye baate khud se bnai hui lagti hai our wo inhe apne time pass our entertainment ka jariya samjhte hai to kuch log sab jante hue, hume kya fark padta hai humare sath ya humari behan beti ke sath esa thodi hua hai. ye soch kar unko taane marte hai, our sochte hai ki esa karne se unki value badh jayegi........but afsos hai ki aaj kal isi chhoti soch wale samaj ke liye kuch ghar wale apne bachcho ki khushiya tak nahi dekhte.... wo dekhte hai to bss itna ki samaj kya bolega...?
agar samaj ko kuch bolna hi hota to aaj hazaro logo ko sadako pr utrna nahi padta , jin bekashuro ke sath galt hua hai unhe insaaf milne me 12-12 sal nahi lagte.....par jab koi apni khushi ke liye is samaj se hatkar koi kaam kar le tab is samaj ko sab kuch yaad aa jata hai ki is samaj me esa nahi hota wesa nahi hota etc.......isi samaj ke liye koi apni marzi se job nahi kr sakta to koi apni marzi se shaadi nahi kr sakta .ye sochkar ki humne samaj ki nahi mani to samaj hume accept nahi karega.......our ye wahi samaj hai jisme sirf baate hoti hai kaam kuch nahi hota. kaam hota to ek dusre ke liye achhi soch rakhte , ek dusre ki khushiyo ko accept karte but yaha to har koi ek dusre ko girene me lga hua hai. agar koi khush hai to wo ye soch kar khush nahi ho paye ga ki kisi dusre ke ghar me khushiya kaise hai.......
our kuch mahan log to ese react krte hai mano unhe sab pta hai our wo hi sab kuch hai. kaano suni our adhuri baate sunkar unhe lagta hai kuch hai to bss wahi hai.....but kabhi unhe unhi ki baato se kisi bhi baat par puri baate kre to unhe ye tk pta nahi hota ki unhone jo suna hai uska pura sach kya hai .
ab kuch log kahenge ki aapko pta hi kya hai humare samaj ke bare jante hi kya jo ye sab bol rahe ho....unhe main yahi bolna chahungi ki bhai main khud confused hu ki aakhirkar ye samaj chahta kya hai...? aapko pta ho to btana......our ek baat our main samaj ko galt nahi bol rahi hu main bss samaj ki un bebuniyaadi our khokhli baato ko clear kr rahi hu jo ek insaan ki khushiyo se jyada is baat ki fikr karte hai ki baki sab kya sochege..........
ek tarf bolte hai ki samaj insaan ki help karne ke liye our wahi dusri tarf agar kisi bekshur ke sath kuch glt ho jaye to usi samaj me use jine layke nahi chhoda jata..............
Comments
Post a Comment