shhhhhhh kisi se kuch batana mat.....
kahna kitna aasan hota hai na...but isse kai jyada guna mushkil hota hai us bachchi ke liye jo ye sab bardas kar rahi hoti hai . jise shabdo me nahi kaha ja sakta ......
na wo kisi ko bta sakti hai , na koi use samjh pata hai. our bta bhi de to koi uski baato par trust nahi karta...kyoki wo to bachchi hai our bachche kuch bhi bolte rshte hsi ye bol kar use andekha kr dete hai.iske baab wo bachchi jo kuch uske sath ho raha hota hai use sahan krti rahti hai is confusion me ki ye uske sath kya ho raha hai or kyu..? ye sahi hai ya galt..? use kya krna chahiye kya nahi..?
jab wo bachchi thodi badi hoti tab use kuch samjh aane lagta hai ki itne time se uske sath ho kya raha hai.....lekin tab bhi wo kisi se kuch nahi bol sakti hai or na hi koi use samjh pata hai. kyoki ye sab karne wale ya to koi uske ghar walo me se hota hai , ya koi uska rishtedar ya fir koi aas padosh ka hota hai jis pr koi shaq nahi kar pata......
our wo bachchi ab andar hi andar ghut rahi hoti hai , khud se ghin aane lagti hai use , mentally depressed rahne lagti hai . but kisi ko kuch bta tak nahi chalta hai.......
wo waise hi sabke sath rahti hai jaise ek noraml bachchi rahti . kisi ko bhi uski halat ka andaja tak nahi hota hai ki wo kis situation se gujar rahi hai.....or fir badi hone ke bad wo apne sath wo sab to nahi hone deti jo uske sath pahle hota tha kyoki wo ab itni mature ho chuki hai ki wo apne liye action le sake. wo apne sath ab kuch galt to nahi hone deti par un sab ke khilaf koi action bhi nahi le pati hai jinhone uske sath wo ghinoni harkte ki thi kyoki wo is confusion me rah jati hai ki log kya kahenge....😑😑
papa ka name khrab hoga , log kya bolege , samaj me koi use accept nahi krega , uske character par log sawal uthayege uski family use samjegi ya nahi , uski wajah se uski family na bikhar jaye....itne sare confusion me wo khud ko kho deti hai.....or double life jine lagti hai. ek wo jo sabko dikhti hai our dusri wo jo kisi ko nahi pta hoti ek pagl ladki....jisse wo khud darti hai ki kahi ye sabke samne na aa jaye......
Comments
Post a Comment